savād-e-shahr se aġhmāz karnā chāhtā huuñ
ki maiñ apnā safar āġhāz karnā chāhtā huuñ
ḳhajil hūñgā matā-e-ishq par shāyad kisī din
abhī is faisle par naaz karnā chāhtā huuñ
rag-e-jāñ se bhī jo nazdīk aatā jā rahā hai
maiñ kyā sach-much use hamrāz karnā chāhtā huuñ
ulaTnā chāhtā huuñ aaj maazī ke varaq maiñ
ki fardā kā darīcha baaz karnā chāhtā huuñ
kisī ke sāmne rakkhe hue ik aa.ine ko
maiñ apnī ruuh kā ġhammāz karnā chāhtā huuñ
parindoñ ko zarā sī der chup rahne kā kah kar
havā ko zamzama-pardāz karnā chāhtā huuñ
manānā chāhtā huuñ rūThne vāloñ ko 'sājid'
magar ik shaḳhs ko nārāz karnā chāhtā huuñ
sawad-e-shahr se aghmaz karna chahta hun
ki main apna safar aaghaz karna chahta hun
KHajil hunga mata-e-ishq par shayad kisi din
abhi is faisle par naz karna chahta hun
rag-e-jaan se bhi jo nazdik aata ja raha hai
main kya sach-much use hamraaz karna chahta hun
ulaTna chahta hun aaj mazi ke waraq main
ki farda ka daricha baz karna chahta hun
kisi ke samne rakkhe hue ek aaine ko
main apni ruh ka ghammaz karna chahta hun
parindon ko zara si der chup rahne ka kah kar
hawa ko zamzama-pardaz karna chahta hun
manana chahta hun ruThne walon ko 'sajid'
magar ek shaKHs ko naraaz karna chahta hun
Leave a comment