kisī kashish ke kisī silsile kā honā thā
hameñ bhī āḳhirash ik dā.ere kā honā thā
abhī se achchhā huā raat so ga.ī varna
kabhī to ḳhatm-e-safar ratjage kā honā thā
barhana-tan baḌī guzrī thī zindagī apnī
libās ham ko hī ik dūsre kā honā thā
ham apnā dīda-e-bīnā pahan ke nikle the
saḌak ke biich kisī hādse kā honā thā
hamāre paañv se lipTī huī qayāmat thī
qadam qadam pe kisī zalzale kā honā thā
ham apne sāmne har lamha marte rahte the
hamāre dil meñ kisī maqbare kā honā thā
tamām raat bulātā rahā hai ik taara
ufuq ke paar kisī mo.ajaze kā honā thā
kisī ke sāmne uTThī nazar to bah niklā
hamārī aañkh meñ kyā aable kā honā thā
hisār-e-shahr se bāhar nikal hī aa.e haiñ
kabhī hameñ bhī kisī rāste kā honā thā
kisi kashish ke kisi silsile ka hona tha
hamein bhi aaKHirash ek daere ka hona tha
abhi se achchha hua raat so gai warna
kabhi to KHatm-e-safar ratjage ka hona tha
barhana-tan baDi guzri thi zindagi apni
libas hum ko hi ek dusre ka hona tha
hum apna dida-e-bina pahan ke nikle the
saDak ke bich kisi hadse ka hona tha
hamare panw se lipTi hui qayamat thi
qadam qadam pe kisi zalzale ka hona tha
hum apne samne har lamha marte rahte the
hamare dil mein kisi maqbare ka hona tha
tamam raat bulata raha hai ek tara
ufuq ke par kisi moajaze ka hona tha
kisi ke samne uTThi nazar to bah nikla
hamari aankh mein kya aable ka hona tha
hisar-e-shahr se bahar nikal hi aae hain
kabhi hamein bhi kisi raste ka hona tha
Leave a comment