Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Husain Sajid

  • Ghazal


apne apne lahu ki udasi liye sari galiyon se bachche palaT aaenge


apne apne lahū kī udāsī liye saarī galiyoñ se bachche palaT ā.eñge
dhuup kī garm chādar simaTte hī phir ye sunahrī parinde palaT ā.eñge

shaam aa.ī hai aur sā.atoñ ke qadam pāniyoñ kī ravānī meñ rukne lage
kaun kahtā hai in bādaloñ se pare āsmāñ par sitāre palaT ā.eñge

ye darīche isī tarah raushan raheñ aur gulāboñ kī ḳhushbū salāmat rahe
phir isī chhāñv meñ saañs lene ko ham apne apne gharoñ se palaT ā.eñge

ham musāfir haiñ gard-e-safar haiñ magar ai shab-e-hijr ham koī bachche nahīñ
jo abhī āñ.suoñ meñ nahā kar ga.e aur abhī muskurāte palaT ā.eñge

phir unhī zard peḌoñ ke nañge badan sho.ala-e-naḳhl se raakh hone lage
maiñ to samjhā thā mausam badalte hī phir Dāliyoñ par vo patte palaT ā.eñge

ye safīne jo ik lahr ke vāste apne apne bahāv meñ bahne lage
ik adhūrī masāfat kī tasvīr meñ phir koī rañg bharne palaT ā.eñge

ek din yaad ā.ūñgā 'sājid' use umr kī be-karānī meñ maiñ bhī kahīñ
shaam aa.egī aur mere āñgan meñ bhī in daraḳhtoñ ke saa.e palaT ā.eñge

apne apne lahu ki udasi liye sari galiyon se bachche palaT aaenge
dhup ki garm chadar simaTte hi phir ye sunahri parinde palaT aaenge

sham aai hai aur saaton ke qadam paniyon ki rawani mein rukne lage
kaun kahta hai in baadalon se pare aasman par sitare palaT aaenge

ye dariche isi tarah raushan rahen aur gulabon ki KHushbu salamat rahe
phir isi chhanw mein sans lene ko hum apne apne gharon se palaT aaenge

hum musafir hain gard-e-safar hain magar ai shab-e-hijr hum koi bachche nahin
jo abhi aansuon mein naha kar gae aur abhi muskuraate palaT aaenge

phir unhi zard peDon ke nange badan shoala-e-naKHl se rakh hone lage
main to samjha tha mausam badalte hi phir Daliyon par wo patte palaT aaenge

ye safine jo ek lahr ke waste apne apne bahaw mein bahne lage
ek adhuri masafat ki taswir mein phir koi rang bharne palaT aaenge

ek din yaad aaunga 'sajid' use umr ki be-karani mein main bhi kahin
sham aaegi aur mere aangan mein bhi in daraKHton ke sae palaT aaenge


Source: Book : meyaar (Pg. 384)

Leave a comment

+