Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Husain Sajid

  • Ghazal


diye jalae gae aaine banae gae


diye jalā.e ga.e aa.ine banā.e ga.e
koī batā.e yahāñ kaun log aa.e ga.e

matā-e-dirham-o-dīnār par nahīñ mauqūf
maiñ so gayā to mire ḳhvāb tak churā.e ga.e

bahut se log satā.e ga.e haiñ duniyā meñ
magar vo mujh se ziyāda nahīñ satā.e ga.e

charāġh sard hue dhuup kī tamāzat se
daraḳht niiñd ke aalam meñ thartharā.e ga.e

panāh mil na sakegī kisī ko ghar meñ bhī
tuyūr sub.h se pahle agar uḌaa.e ga.e

sahar ke vaqt huā faisla nikalne kā
qadam baḌhāne se pahle diye baḌhā.e ga.e

kisī ke aam se chehre ko bhūlne ke liye
hazār rañg ke sapne mujhe dikhā.e ga.e

phir ek baar usī Dhañg se bahār aa.ī
saroñ kī fasl kaTī phuul bhī ugaa.e ga.e

zamīn paañv pakaḌtī hai us ilāqe kī
kahīñ jo kho.e ga.e us galī meñ paa.e ga.e

mujhe thī jin kī ġhulāmī kī aarzū 'sājid'
asiir kar ke mire sāmne vo laa.e ga.e

diye jalae gae aaine banae gae
koi batae yahan kaun log aae gae

mata-e-dirham-o-dinar par nahin mauquf
main so gaya to mere KHwab tak churae gae

bahut se log satae gae hain duniya mein
magar wo mujh se ziyaada nahin satae gae

charagh sard hue dhup ki tamazat se
daraKHt nind ke aalam mein thartharae gae

panah mil na sakegi kisi ko ghar mein bhi
tuyur subh se pahle agar uDae gae

sahar ke waqt hua faisla nikalne ka
qadam baDhane se pahle diye baDhae gae

kisi ke aam se chehre ko bhulne ke liye
hazar rang ke sapne mujhe dikhae gae

phir ek bar usi Dhang se bahaar aai
saron ki fasl kaTi phul bhi ugae gae

zamin panw pakaDti hai us ilaqe ki
kahin jo khoe gae us gali mein pae gae

mujhe thi jin ki ghulami ki aarzu 'sajid'
asir kar ke mere samne wo lae gae


Leave a comment

+