hamāre saath ḳhudā ho ki ham ḳhudā ke saath
magar rahe yahī vābastagī duā ke saath
kashīd karte hue rāhat-e-vajūd-o-adam
diye ke saath rahūñgā na maiñ havā ke saath
na.e gulāb kareñge mukālima kis se
nikal paḌūñgā chaman se agar sabā ke saath
chhalak na jaa.e kahīñ sāġhar-e-matā-e-hosh
rahūñgā aaj kisī dard-āshnā ke saath
fishār-e-zabt se rukne lagī hai saañs mirī
muqābla hai kisī sabr-āzmā ke saath
pasand haiñ mujhe multān ke dar-o-dīvār
nigār-ḳhāna-e-istaḳhar-o-nainvā ke saath
usī charāġh se nisbat rakhūñ abhī 'sājid'
ki dil lagā.ūñ kisī aur dil-rubā ke saath
hamare sath KHuda ho ki hum KHuda ke sath
magar rahe yahi wabastagi dua ke sath
kashid karte hue rahat-e-wajud-o-adam
diye ke sath rahunga na main hawa ke sath
nae gulab karenge mukalima kis se
nikal paDunga chaman se agar saba ke sath
chhalak na jae kahin saghar-e-mata-e-hosh
rahunga aaj kisi dard-ashna ke sath
fishaar-e-zabt se rukne lagi hai sans meri
muqabla hai kisi sabr-azma ke sath
pasand hain mujhe multan ke dar-o-diwar
nigar-KHana-e-istaKHar-o-nainwa ke sath
usi charagh se nisbat rakhun abhi 'sajid'
ki dil lagaun kisi aur dil-ruba ke sath
Leave a comment