Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Husain Sajid

  • Ghazal


rida-e-rahat-e-kaun-o-makan oDh ke dekh


ridā-e-rāhat-e-kaun-o-makān oḌh ke dekh
zamīn oḌh ke dekh āsmān oḌh ke dekh

tilism TuuT chukā jab charāġh-e-zulmat kā
kabhī sabāhat-e-nām-o-nishān oḌh ke dekh

paḌā rahegā kahāñ tak tū apne tarkash meñ
ḳhadañg-e-jasta agar hai kamān oḌh ke dekh

qarīb aa hī gayā hai agar vo abr-e-karam
safar meñ aaj yahī sā.ebān oḌh ke dekh

havā-e-shahr haqīqat meñ saañs lete hue
nigār-ḳhāna-e-vahm-o-gumān oḌh ke dekh

phir ek baar kisī jañg par nikalte hue
fazā-e-qarya-e-amn-o-amān oḌh ke dekh

nayā libās pahanñe kā vaqt hai 'sājid'
shikoh oḌh ke dekh ān-bān oḌh ke dekh

rida-e-rahat-e-kaun-o-makan oDh ke dekh
zamin oDh ke dekh aasman oDh ke dekh

tilism TuT chuka jab charagh-e-zulmat ka
kabhi sabahat-e-nam-o-nishan oDh ke dekh

paDa rahega kahan tak tu apne tarkash mein
KHadang-e-jasta agar hai kaman oDh ke dekh

qarib aa hi gaya hai agar wo abr-e-karam
safar mein aaj yahi saeban oDh ke dekh

hawa-e-shahr haqiqat mein sans lete hue
nigar-KHana-e-wahm-o-guman oDh ke dekh

phir ek bar kisi jang par nikalte hue
faza-e-qarya-e-amn-o-aman oDh ke dekh

naya libas pahanne ka waqt hai 'sajid'
shikoh oDh ke dekh aan-ban oDh ke dekh


Leave a comment

+