kabhī makāñ kī taraf hai kabhī makīñ kī taraf
kisī kā ruḳh hai azal se mirī zamīñ kī taraf
charāġh-e-lāla hai raushan na surḳh rū-e-hinā
fazā-e-sehn-e-gulistāñ hai yāsmīñ kī taraf
mire badan ne bhī is faisle pe saad kiyā
ki dāġh-e-sajda rahegā faqat jabīñ kī taraf
tuyūr-e-ḳhvāb hoñ ā.īne hoñ sitāre hoñ
ravāñ-davāñ haiñ sabhī arsh-e-nīlamīñ kī taraf
huā hai koī agar faisla mire haq meñ
kabhī maiñ haañ kī taraf thā kabhī nahīñ kī taraf
badal na pā.ūñgā maiñ āsmāñ badalne se
mirā jhukāv rahegā usī hasīñ kī taraf
dayār-e-dil kā añdherā agar chhaTā 'sājid'
to dhyān jā.egā us sham-e-avvalīñ kī taraf
kabhi makan ki taraf hai kabhi makin ki taraf
kisi ka ruKH hai azal se meri zamin ki taraf
charagh-e-lala hai raushan na surKH ru-e-hina
faza-e-sehn-e-gulistan hai yasmin ki taraf
mere badan ne bhi is faisle pe sad kiya
ki dagh-e-sajda rahega faqat jabin ki taraf
tuyur-e-KHwab hon aaine hon sitare hon
rawan-dawan hain sabhi arsh-e-nilamin ki taraf
hua hai koi agar faisla mere haq mein
kabhi main han ki taraf tha kabhi nahin ki taraf
badal na paunga main aasman badalne se
mera jhukaw rahega usi hasin ki taraf
dayar-e-dil ka andhera agar chhaTa 'sajid'
to dhyan jaega us sham-e-awwalin ki taraf
Leave a comment