Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Husain Sajid

  • Ghazal


zamin raushan rahegi aasman raushan rahega


zamīñ raushan rahegī āsmāñ raushan rahegā
mirī maujūdgī se ye makāñ raushan rahegā

mayassar aa ga.ī āsūdgī jab is nagar ko
chhatoñ par rañg sehnoñ meñ dhuāñ raushan rahegā

khulegī ek din sab par haqīqat aa.ine kī
tilism-e-ḳhvāb se saarā jahāñ raushan rahegā

use mahfūz rakhne kī nikālūñ koī sūrat
ki mere ba.ad ye manzar kahāñ raushan rahegā

kisī dil meñ utarne kī use taklīf kyuuñ deñ
vo sab āñkhoñ meñ benām-o-nishāñ raushan rahegā

mujhe kyā ilm thā mere muqaddar kā sitāra
jahāñ tum paañv rakkhoge vahāñ raushan rahegā

hamāre dam se hai tābindagī is qāfile kī
na ham hoñge na miir kārvāñ raushan rahegā

bujhā saktā nahīñ hai koī mere aa.ine ko
añdhere meñ bhī ye āb-e-ravāñ raushan rahegā

khilegā niiñd ke sahrā meñ jo bhī phuul 'sājid'
varā-e-lazzat-e-vahm-o-gumāñ raushan rahegā

zamin raushan rahegi aasman raushan rahega
meri maujudgi se ye makan raushan rahega

mayassar aa gai aasudgi jab is nagar ko
chhaton par rang sehnon mein dhuan raushan rahega

khulegi ek din sab par haqiqat aaine ki
tilism-e-KHwab se sara jahan raushan rahega

use mahfuz rakhne ki nikalun koi surat
ki mere baad ye manzar kahan raushan rahega

kisi dil mein utarne ki use taklif kyun den
wo sab aankhon mein benam-o-nishan raushan rahega

mujhe kya ilm tha mere muqaddar ka sitara
jahan tum panw rakkhoge wahan raushan rahega

hamare dam se hai tabindagi is qafile ki
na hum honge na mir karwan raushan rahega

bujha sakta nahin hai koi mere aaine ko
andhere mein bhi ye aab-e-rawan raushan rahega

khilega nind ke sahra mein jo bhi phul 'sajid'
wara-e-lazzat-e-wahm-o-guman raushan rahega


Leave a comment

+