Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Husain Sajid

  • Ghazal


kisi ki khoi hui yaad ke ishaare par


kisī kī khoī huī yaad ke ishāre par
maiñ rañg DhūñDne niklā huuñ us sitāre par

bhale ye merā badan ret ban ke uḌ jaa.e
maiñ apne zor meñ bahtā rahūñgā dhāre par

vahī damakte hue surḳh lab vahī āñkheñ
gumān jin kā huā thā mujhe sharāre par

jagah jagah se havā kāTne lagī hai badan
bikhar na jaa.eñ chhatoñ par kahīñ hamāre par

mirī giraft meñ aate nahīñ the jis ke ḳhvāb
usī ne dī thiiñ ye āñkheñ mujhe ḳhasāre par

maiñ paar kar chukā dariyā-e-ḳhvāb jab 'sājid'
to vo dikhā.ī diye dūsre kināre par

kisi ki khoi hui yaad ke ishaare par
main rang DhunDne nikla hun us sitare par

bhale ye mera badan ret ban ke uD jae
main apne zor mein bahta rahunga dhaare par

wahi damakte hue surKH lab wahi aankhen
guman jin ka hua tha mujhe sharare par

jagah jagah se hawa kaTne lagi hai badan
bikhar na jaen chhaton par kahin hamare par

meri giraft mein aate nahin the jis ke KHwab
usi ne di thin ye aankhen mujhe KHasare par

main par kar chuka dariya-e-KHwab jab 'sajid'
to wo dikhai diye dusre kinare par


Leave a comment

+