ik hujūm-e-ġham-o-kulfat hai ḳhudā ḳhair kare
jaan par nit-na.ī aafat hai ḳhudā ḳhair kare
jā.e-māñdan hameñ hāsil hai na pā.e-raftan
kuchh musībat sī musībat hai ḳhudā ḳhair kare
aa chalā us but-e-ayyār kī bātoñ kā yaqīñ
sādgī apnī qayāmat hai ḳhudā ḳhair kare
rahnumāoñ ko nahīñ ḳhud bhī patā raste kā
rāh-rau paikar-e-hairat hai ḳhudā ḳhair kare
ek hujum-e-gham-o-kulfat hai KHuda KHair kare
jaan par nit-nai aafat hai KHuda KHair kare
jae-mandan hamein hasil hai na pae-raftan
kuchh musibat si musibat hai KHuda KHair kare
aa chala us but-e-ayyar ki baaton ka yaqin
sadgi apni qayamat hai KHuda KHair kare
rahnumaon ko nahin KHud bhi pata raste ka
rah-rau paikar-e-hairat hai KHuda KHair kare
Source: Book : Intekhabe Kalam (Pg. 64)
Leave a comment