Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghufran Amjad

  • Ghazal


ek KHalish hai mere bahar meri dam-saz giri


ik ḳhalish hai mire bāhar mirī dam-sāz girī
kis bulandī pe thī jis dam mirī parvāz girī

merī dahlīz pe rakkhā hai kuchh añgāroñ sā
mere āñgan meñ bhī jhulsī huī āvāz girī

kisī e.azāz pe ab sikka-e-dil kyā uchhle
is tavātur se miyāñ qīmat-e-e.azāz girī

ab bhalā kaun kare chaak garebān-e-junūñ
azmat-e-zulf ghaTī chashm-e-kañval-nāz girī

ishq ne mo.ajiza is tarah dikhāyā 'amjad'
husn ke haath se shamshīr-e-sharar-bāz girī

ek KHalish hai mere bahar meri dam-saz giri
kis bulandi pe thi jis dam meri parwaz giri

meri dahliz pe rakkha hai kuchh angaron sa
mere aangan mein bhi jhulsi hui aawaz giri

kisi eazaz pe ab sikka-e-dil kya uchhle
is tawatur se miyan qimat-e-eazaz giri

ab bhala kaun kare chaak gareban-e-junun
azmat-e-zulf ghaTi chashm-e-kanwal-naz giri

ishq ne moajiza is tarah dikhaya 'amjad'
husn ke hath se shamshir-e-sharar-baz giri


Leave a comment

+