Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghazanfar Ali Ghazanfar

  • Ghazal


baiThe hain id ko sab yar baghal mein le kar


baiThe haiñ iid ko sab yaar baġhal meñ le kar
baiTheñ ham kyā dil-e-bīmār baġhal meñ le kar

kushta-e-nāz faqat is pe haiñ nāzāñ jī meñ
ki nikaltā hai vo talvār baġhal meñ le kar

ro.e ham us kī tamannā-e-ham-goshī meñ
dil-e-māyūs ko nā-chār baġhal meñ le kar

bad-gumānī se hameñ baiThte uThte hai ye soch
baiThe hoñge use aġhyār baġhal meñ le kar

mai-e-ulfat kī tarañg aa.ī to aayā dauḌā
shīsha-e-mai ko vo mai-ḳhvār baġhal meñ le kar

kū-ba-kū ḳhāna-nashīnī kā ho us kī charchā
baiThe jo tujh sā trahdār baġhal meñ le kar

shab-e-tanhā.ī meñ so rahte haiñ mushtāq tire
ba-tasavvur tujhe har baar baġhal meñ le kar

sun ke ham mahv-e-chaman us ko 'ġhazanfar' aa.e
dil-e-pur-dāġh se gulzār baġhal meñ le kar

baiThe hain id ko sab yar baghal mein le kar
baiThen hum kya dil-e-bimar baghal mein le kar

kushta-e-naz faqat is pe hain nazan ji mein
ki nikalta hai wo talwar baghal mein le kar

roe hum us ki tamanna-e-ham-goshi mein
dil-e-mayus ko na-chaar baghal mein le kar

bad-gumani se hamein baiThte uThte hai ye soch
baiThe honge use aghyar baghal mein le kar

mai-e-ulfat ki tarang aai to aaya dauDa
shisha-e-mai ko wo mai-KHwar baghal mein le kar

ku-ba-ku KHana-nashini ka ho us ki charcha
baiThe jo tujh sa trahdar baghal mein le kar

shab-e-tanhai mein so rahte hain mushtaq tere
ba-tasawwur tujhe har bar baghal mein le kar

sun ke hum mahw-e-chaman us ko 'ghazanfar' aae
dil-e-pur-dagh se gulzar baghal mein le kar


Leave a comment

+