Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Habeeb

  • Ghazal


lams-e-tishna-labi se guzri hai


lams-e-tishna-labī se guzrī hai
raat kis jāñ-kanī se guzrī hai

us murassā nigār-ḳhāne meñ
aañkh be-manzarī se guzrī hai

ek saaya sā phaḌphaḌātā hai
koī shai raushnī se guzrī hai

lūTne vaale saath saath rahe
zindagī sādgī se guzrī hai

kuchh dikhā.ī nahīñ diyā shāyad
umr andhī galī se guzrī hai

shaam aatī thī din guzarne par
kyā huā kyuuñ abhī se guzrī hai

kitnī hañgāma-ḳheziyāñ le kar
ik sadā ḳhāmushī se guzrī hai

aañkh bīnā.ī ke ta.āqub meñ
kaisī lā-hāsilī se guzrī hai

lams-e-tishna-labi se guzri hai
raat kis jaan-kani se guzri hai

us murassa nigar-KHane mein
aankh be-manzari se guzri hai

ek saya sa phaDphaData hai
koi shai raushni se guzri hai

luTne wale sath sath rahe
zindagi sadgi se guzri hai

kuchh dikhai nahin diya shayad
umr andhi gali se guzri hai

sham aati thi din guzarne par
kya hua kyun abhi se guzri hai

kitni hangama-KHeziyan le kar
ek sada KHamushi se guzri hai

aankh binai ke taaqub mein
kaisi la-hasili se guzri hai


Leave a comment

+