tumhārā rañg rañg-e-āsmāñ jaisā badaltā hai
kisī ko chāhne vaalā kahīñ itnā badaltā hai
sabā shabnam shafaq ruḳhsār gul mahtāb in sab kā
tumhārā naam letā huuñ to kyuuñ chehra badaltā hai
sabā guftār shīrīñ lab sitāra chashm haiñ to kyā
badalte ham bhī haiñ jab sāmne vaalā badaltā hai
kabhī jaatī nahīñ jañgal kī bū sandal ke paikar se
ki sūrat ke badalne se kahīñ rishta badaltā hai
ye shahr-e-be-sadā andar se shahr-e-ārzū niklā
dhuāñ har-dam yahāñ bujhte charāġhoñ kā badaltā hai
utarte vaqt paanī meñ zarā ye dekh lenā thā
ki andar beach meñ jā kar yahī dariyā badaltā hai
raho dīvār ke saa.e meñ lekin dekhte rahnā
hamesha ruḳh yahāñ dīvār kā saaya badaltā hai
suḳhan rasta lakīroñ se nahīñ lafzoñ se raushan hai
lakīreñ pīTne se bhī kabhī rasta badaltā hai
'matīn' aao chaleñ ḳheme kī jānib ik zarā so leñ
vo dekho sub.h kā taarā libās apnā badaltā hai
tumhaara rang rang-e-asman jaisa badalta hai
kisi ko chahne wala kahin itna badalta hai
saba shabnam shafaq ruKHsar gul mahtab in sab ka
tumhaara nam leta hun to kyun chehra badalta hai
saba guftar shirin lab sitara chashm hain to kya
badalte hum bhi hain jab samne wala badalta hai
kabhi jati nahin jangal ki bu sandal ke paikar se
ki surat ke badalne se kahin rishta badalta hai
ye shahr-e-be-sada andar se shahr-e-arzu nikla
dhuan har-dam yahan bujhte charaghon ka badalta hai
utarte waqt pani mein zara ye dekh lena tha
ki andar beach mein ja kar yahi dariya badalta hai
raho diwar ke sae mein lekin dekhte rahna
hamesha ruKH yahan diwar ka saya badalta hai
suKHan rasta lakiron se nahin lafzon se raushan hai
lakiren piTne se bhi kabhi rasta badalta hai
'matin' aao chalen KHeme ki jaanib ek zara so len
wo dekho subh ka tara libas apna badalta hai
Leave a comment