āñkhoñ meñ hayā rakh ke bhī bebāk bahut the
the tere gunahgār magar paak bahut the
maiñ apnā samajhtī rahī arbāb-e-vafā ko
vo ġhair se milte rahe chālāk bahut the
ye bhī koī ulfat kā tarīqa hai jahāñ meñ
rah rah ke jale hijr meñ ham ḳhaak bahut the
ma.asūm ko phir maar diyā kokh meñ maañ kī
qisse jo sune ham ne vo ġhamnāk bahut the
ham log 'sabīñ' narm-mizājī ke payambar
jo log mile ham se vo saffāk bahut the
aankhon mein haya rakh ke bhi bebak bahut the
the tere gunahgar magar pak bahut the
main apna samajhti rahi arbab-e-wafa ko
wo ghair se milte rahe chaalak bahut the
ye bhi koi ulfat ka tariqa hai jahan mein
rah rah ke jale hijr mein hum KHak bahut the
masum ko phir mar diya kokh mein man ki
qisse jo sune hum ne wo ghamnak bahut the
hum log 'sabin' narm-mizaji ke payambar
jo log mile hum se wo saffak bahut the
Leave a comment