Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghani Ghayoor

  • Ghazal


hamare shahr ka dastur baba


hamāre shahr kā dastūr baabā
pareshāñ-hāl har mazdūr baabā

hue ḳhalvat-nashīñ haiñ log kāmil
jo nāqis haiñ vahī mash.hūr baabā

nahīñ dekhe kisī ne un ke chehre
kahāñ ġhilmāñ kahāñ hai huur baabā

chale haiñ hissa lene dauḌ meñ phir
hamāre shahr ke ma.azūr baabā

mujhe yaad aa rahī hai 'mus.hafī' kī
ġhazab the 'mīr' bhī maġhfūr baabā

hamare shahr ka dastur baba
pareshan-haal har mazdur baba

hue KHalwat-nashin hain log kaamil
jo naqis hain wahi mashhur baba

nahin dekhe kisi ne un ke chehre
kahan ghilman kahan hai hur baba

chale hain hissa lene dauD mein phir
hamare shahr ke mazur baba

mujhe yaad aa rahi hai 'mushafi' ki
ghazab the 'mir' bhi maghfur baba


Leave a comment

+