Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghani Ghayoor

  • Ghazal


baraste rose patthar dekhta hun


baraste roz patthar dekhtā huuñ
yahī ronā maiñ ghar ghar dekhtā huuñ

nikal kar ḳhud se bāhar dekhtā huuñ
samundar apne andar dekhtā huuñ

upaj dugnā hai tujh se ab ke merā
maiñ tere saath mil kar dekhtā huuñ

nazar aatā hai manzar aur koī
jagah apnī se uTh kar dekhtā huuñ

hisāb apnā yahāñ sab de rahe haiñ
bapā har samt mahshar dekhtā huuñ

jise tum log behtar kah rahe ho
vahī abtar se abtar dekhtā huuñ

alag andāz merā zāviya bhī
tirī duniyā se haT kar dekhtā huuñ

ġhanī hai asl ashiyā aur hī kuchh
tumhāre ḳhair ko shar dekhtā huuñ

baraste roz patthar dekhta hun
yahi rona main ghar ghar dekhta hun

nikal kar KHud se bahar dekhta hun
samundar apne andar dekhta hun

upaj dugna hai tujh se ab ke mera
main tere sath mil kar dekhta hun

nazar aata hai manzar aur koi
jagah apni se uTh kar dekhta hun

hisab apna yahan sab de rahe hain
bapa har samt mahshar dekhta hun

jise tum log behtar kah rahe ho
wahi abtar se abtar dekhta hun

alag andaz mera zawiya bhi
teri duniya se haT kar dekhta hun

ghani hai asl ashiya aur hi kuchh
tumhaare KHair ko shar dekhta hun


Leave a comment

+