Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasmeen Habeeb

  • Ghazal


waqt bas rengta hai umr ke sath


vaqt bas reñgtā hai umr ke saath
taara taara ginā hai umr ke saath

kitnā āsān sā ta.alluq thā
kitnā mushkil huā hai umr ke saath

phir safar naam hai aziyyat kā
rāsta hāñptā hai umr ke saath

kis kī āñkhoñ ko niiñd chubhtī hai
kaun jaagā rahā hai umr ke saath

jaane ārām aa.egā kab tak
dard baḌhne lagā hai umr ke saath

ik gunah thā chhupā.e rakkhā thā
sāmne aa gayā hai umr ke saath

zindagī zindagī nahīñ lagtī
koī dhokā huā hai umr ke saath

sub.h-e-kāzib se shām-e-sādiq tak
ek mahshar bapā hai umr ke saath

kaisā chehra hai raat kī tafsīl
kaun jal kar bujhā hai umr ke saath

gard-e-māzī hai vasl kā hāsil
qāfila hijr kā hai umr ke saath

waqt bas rengta hai umr ke sath
tara tara gina hai umr ke sath

kitna aasan sa talluq tha
kitna mushkil hua hai umr ke sath

phir safar nam hai aziyyat ka
rasta hanpta hai umr ke sath

kis ki aankhon ko nind chubhti hai
kaun jaga raha hai umr ke sath

jaane aaram aaega kab tak
dard baDhne laga hai umr ke sath

ek gunah tha chhupae rakkha tha
samne aa gaya hai umr ke sath

zindagi zindagi nahin lagti
koi dhoka hua hai umr ke sath

subh-e-kazib se sham-e-sadiq tak
ek mahshar bapa hai umr ke sath

kaisa chehra hai raat ki tafsil
kaun jal kar bujha hai umr ke sath

gard-e-mazi hai wasl ka hasil
qafila hijr ka hai umr ke sath


Leave a comment

+