Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghani Ejaz

  • Ghazal


KHwahishen apni sarabon mein na rakkhe koi


ḳhvāhisheñ apnī sarāboñ meñ na rakkhe koī
in havāoñ ko habāboñ meñ na rakkhe koī

chand lamhoñ kā ye jiinā hai ġhanīmat jaano
zindagī apnī azāboñ meñ na rakkhe koī

aaj har fard hai ik hasrat-e-ta.abīr liye
ab ḳhayālāt ko ḳhvāboñ meñ na rakkhe koī

kaam tahqīq ke unvāñ pe baḌhegā kaise
gar savāloñ ko javāboñ meñ na rakkhe koī

ye bhī kyā zid hai ki kāñToñ ko mahakne diije
ya.anī ḳhushbū ko gulāboñ meñ na rakkhe koī

nekiyāñ kitnī haiñ 'ejāz' hisār-e-dil meñ
ḳhūbiyāñ hoñ to ḳharāboñ meñ na rakkhe koī

KHwahishen apni sarabon mein na rakkhe koi
in hawaon ko hababon mein na rakkhe koi

chand lamhon ka ye jina hai ghanimat jaano
zindagi apni azabon mein na rakkhe koi

aaj har fard hai ek hasrat-e-tabir liye
ab KHayalat ko KHwabon mein na rakkhe koi

kaam tahqiq ke unwan pe baDhega kaise
gar sawalon ko jawabon mein na rakkhe koi

ye bhi kya zid hai ki kanTon ko mahakne dije
yani KHushbu ko gulabon mein na rakkhe koi

nekiyan kitni hain 'ejaz' hisar-e-dil mein
KHubiyan hon to KHarabon mein na rakkhe koi


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+