Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghani Ejaz

  • Ghazal


aadmi ki hayat muTThi bhar


aadmī kī hayāt muTThī bhar
ya.anī kul kā.enāt muTThī bhar

haath bhar kā hai din bichhaḌne kā
aur milne kī raat muTThī bhar

kyā karoge sameT kar duniyā
hai jo duniyā kā saath muTThī bhar

kar gayā kisht-e-ārzū shādāb
aap kā iltifāt muTThī bhar

aur milnā bhī kyā sarāboñ se
ret aa.egī haath muTThī bhar

hausla yuuñ na hārte 'ejāz'
ho ga.ī thī jo maat muTThī bhar

aadmi ki hayat muTThi bhar
yani kul kaenat muTThi bhar

hath bhar ka hai din bichhaDne ka
aur milne ki raat muTThi bhar

kya karoge sameT kar duniya
hai jo duniya ka sath muTThi bhar

kar gaya kisht-e-arzu shadab
aap ka iltifat muTThi bhar

aur milna bhi kya sarabon se
ret aaegi hath muTThi bhar

hausla yun na haarte 'ejaz'
ho gai thi jo mat muTThi bhar


Source: Nashuneeda

Leave a comment

+