Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghani Ejaz

  • Ghazal


tir jaise kaman se nikla


tiir jaise kamān se niklā
harf-e-haq thā zabān se niklā

qaid-e-hastī se chhūTne vaalā
vaqt ke imtihān se niklā

Tik na paayā havā ke jhoñkoñ meñ
par shikasta uḌaan se niklā

sher aayā kachhār se bāhar
aur sho.ala machān se niklā

ġham vo kāñTā ki āḳhirī dam tak
dil ko chhoḌā na jaan se niklā

jab ajal jhāñktī phirī ghar ghar
kaun zinda makān se niklā

zulmatoñ kā safīr thā kyā thā
saaya ik sā.ebān se niklā

maslahat roktī rahī 'ejāz'
thā jo dil meñ zabān se niklā

tir jaise kaman se nikla
harf-e-haq tha zaban se nikla

qaid-e-hasti se chhuTne wala
waqt ke imtihan se nikla

Tik na paya hawa ke jhonkon mein
par shikasta uDan se nikla

sher aaya kachhaar se bahar
aur shoala machan se nikla

gham wo kanTa ki aaKHiri dam tak
dil ko chhoDa na jaan se nikla

jab ajal jhankti phiri ghar ghar
kaun zinda makan se nikla

zulmaton ka safir tha kya tha
saya ek saeban se nikla

maslahat rokti rahi 'ejaz'
tha jo dil mein zaban se nikla


Source: Nashuneeda

Leave a comment

+