Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghani Ejaz

  • Ghazal


aap apne ko moatabar kar len


aap apne ko mo'atabar kar leñ
milne vāloñ ke dil meñ ghar kar leñ

zindagānī ke din jo thoḌe haiñ
kyuuñ na hans bol kar basar kar leñ

chun rahe haiñ jo aib auroñ ke
apne dāman pe bhī nazar kar leñ

kaun detā hai saath mushkil meñ
hausloñ hī ko ham-safar kar leñ

chāhiye kuchh sukūn duniyā meñ
ḳhvāhisheñ apnī muḳhtasar kar leñ

baat pahuñche kisī tarah un tak
ham sitāroñ ko nāma-bar kar leñ

jañgaloñ se hameñ guzarnā hai
pahle sāñpoñ ko be-zarar kar leñ

chaliye jādūgaroñ kī bastī meñ
apne aiboñ ko bhī hunar kar leñ

aao dukh dard baañT leñ 'ejāz'
ranj-o-ġham ko idhar-udhar kar leñ

aap apne ko mo'atabar kar len
milne walon ke dil mein ghar kar len

zindagani ke din jo thoDe hain
kyun na hans bol kar basar kar len

chun rahe hain jo aib auron ke
apne daman pe bhi nazar kar len

kaun deta hai sath mushkil mein
hauslon hi ko ham-safar kar len

chahiye kuchh sukun duniya mein
KHwahishen apni muKHtasar kar len

baat pahunche kisi tarah un tak
hum sitaron ko nama-bar kar len

jangalon se hamein guzarna hai
pahle sanpon ko be-zarar kar len

chaliye jadugaron ki basti mein
apne aibon ko bhi hunar kar len

aao dukh dard banT len 'ejaz'
ranj-o-gham ko idhar-udhar kar len


Source: Nashuneeda

Leave a comment

+