Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasir Khan

  • Ghazal


tumhaare kaam agar aae muskurane mein


tumhāre kaam agar aa.e muskurāne meñ
to koī harj nahīñ mere TuuT jaane meñ

faroḳht ho ga.ī har shai jo dil makān meñ thī
maiñ itnā ḳharch huā huuñ use kamāne meñ

maiñ apnī jaan se jā.ūñgā hai ye sach lekin
use bhī zaḳhm to ā.eñge āzmāne meñ

vo ek lafz-e-mohabbat na bin sakā mujh se
hazār baar miTā huuñ jise banāne meñ

tumheñ to sirf ḳhabar hai charāġh jalne kī
hamāre haath jale haiñ use jalāne meñ

tumhāre vasl kī mastī thī aur mai-ḳhāna
sharāb le ke gayā thā sharāb-ḳhāne meñ

imāratoñ meñ mohabbat kā devtā hai vo
hamāre haath kaTe haiñ jise banāne meñ

tumhaare kaam agar aae muskurane mein
to koi harj nahin mere TuT jaane mein

faroKHt ho gai har shai jo dil makan mein thi
main itna KHarch hua hun use kamane mein

main apni jaan se jaunga hai ye sach lekin
use bhi zaKHm to aaenge aazmane mein

wo ek lafz-e-mohabbat na bin saka mujh se
hazar bar miTa hun jise banane mein

tumhein to sirf KHabar hai charagh jalne ki
hamare hath jale hain use jalane mein

tumhaare wasl ki masti thi aur mai-KHana
sharab le ke gaya tha sharab-KHane mein

imaraton mein mohabbat ka dewta hai wo
hamare hath kaTe hain jise banane mein


Leave a comment

+