Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghamgeen Dehlvi

  • Ghazal


us shoala-ru se jab se meri aankh ja lagi


us sho.ala-rū se jab se mirī aañkh jā lagī
kyā jaane tab se siine meñ kyā aag aa lagī

ka.abe meñ vo zuhūr hai jo but-kade meñ hai
ai shaiḳh munsifī se tū kahiyo ḳhudā-lagī

pā tak bhī dastaras na ho mujh ko ye rashk hai
aur tere haath meñ rahe qātil hinā lagī

dushnām tum ne mujh ko jo dī to maiñ ḳhush huā
aur maiñ ne dī duā to tujhe bad-duā lagī

vo ġhuncha-lab jo ḳhanda-zanāñ hai chaman meñ aaj
shāyad guloñ ke khilne kī us ko havā lagī

ḳhvābīda baḳht ne vahīñ bedār kar diyā
tere ḳhayāl meñ jo ye aañkh ik zarā lagī

'ġhamgīñ' jo ek aan pe tere adā huā
kyā ḳhush adā use tirī ai ḳhush-adā lagī

us shoala-ru se jab se meri aankh ja lagi
kya jaane tab se sine mein kya aag aa lagi

kabe mein wo zuhur hai jo but-kade mein hai
ai shaiKH munsifi se tu kahiyo KHuda-lagi

pa tak bhi dastaras na ho mujh ko ye rashk hai
aur tere hath mein rahe qatil hina lagi

dushnam tum ne mujh ko jo di to main KHush hua
aur main ne di dua to tujhe bad-dua lagi

wo ghuncha-lab jo KHanda-zanan hai chaman mein aaj
shayad gulon ke khilne ki us ko hawa lagi

KHwabida baKHt ne wahin bedar kar diya
tere KHayal mein jo ye aankh ek zara lagi

'ghamgin' jo ek aan pe tere ada hua
kya KHush ada use teri ai KHush-ada lagi


Leave a comment

+