jo na vahm-o-gumān meñ aave
kis tarah tere dhyān meñ aave
tujh se hamdam rakhūñ na poshīda
hāl-e-dil gar bayān meñ aave
merī ye aarzū hai vaqt-e-marg
us kī āvāz kaan meñ aave
maiñ na dūñgā javāb tū kah le
jo ki terī zabān meñ aave
ye shab-e-vasl ḳhair se guzre
to mirī jaan jaan meñ aave
haa.e kyā ho abhī jo ai hamdam
vo sanam is makān meñ aave
gar khule chashm-e-dil to tujh ko nazar
vo hī saare jahān meñ aave
us kī tārīf kyā karūñ 'ġhamgīñ'
hal-atā jis kī shaan meñ aave
jo na wahm-o-guman mein aawe
kis tarah tere dhyan mein aawe
tujh se hamdam rakhun na poshida
haal-e-dil gar bayan mein aawe
meri ye aarzu hai waqt-e-marg
us ki aawaz kan mein aawe
main na dunga jawab tu kah le
jo ki teri zaban mein aawe
ye shab-e-wasl KHair se guzre
to meri jaan jaan mein aawe
hae kya ho abhi jo ai hamdam
wo sanam is makan mein aawe
gar khule chashm-e-dil to tujh ko nazar
wo hi sare jahan mein aawe
us ki tarif kya karun 'ghamgin'
hal-ata jis ki shan mein aawe
Leave a comment