Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghamgeen Dehlvi

  • Ghazal


uski surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum


us kī sūrat kā tasavvur dil meñ jab laate haiñ ham
ḳhud-ba-ḳhud apne se hamdam aap ghabrāte haiñ ham

hosh gar rahtā ho tujh ko ham se poshīda na rakh
jab vo yaañ aatā hai ai dil tab kahāñ jaate haiñ ham

baiThe baiThe kyuuñ yakāyak haa.e dil khoyā gayā
hamdam is kā kuchh sabab DhūñDe nahīñ paate haiñ ham

ḳhud-ba-ḳhud kal shab ko vo bole uThā muñh se naqāb
jo na dekhā ho kisī ne mujh ko, dikhlāte haiñ ham

be-sabab ho kar ḳhafā jab kuchh sunātā hai vo shoḳh
jī hī jī meñ apne upar haa.e jhunjhlāte haiñ ham

shaam ko saaqī kabhī aatā hai gar terā ḳhayāl
sub.h tak bhī hosh meñ apne nahīñ aate haiñ ham

ham ne ġham kyā ḳhaak khāyā ġham ne ham ko khā liyā
log ai hamdam samajhte haiñ ki ġham khāte haiñ ham

jaam le kar mujh se vo kahtā hai apne muñh ko pher
rū-ba-rū yuuñ tere mai piine se sharmāte haiñ ham

jo kalām-e-ishq ye hargiz samajhtā hī nahīñ
dil ko sau sau tarah 'ġhamgīñ' haa.e samjhāte haiñ ham

us ki surat ka tasawwur dil mein jab late hain hum
KHud-ba-KHud apne se hamdam aap ghabraate hain hum

hosh gar rahta ho tujh ko hum se poshida na rakh
jab wo yan aata hai ai dil tab kahan jate hain hum

baiThe baiThe kyun yakayak hae dil khoya gaya
hamdam is ka kuchh sabab DhunDe nahin pate hain hum

KHud-ba-KHud kal shab ko wo bole uTha munh se naqab
jo na dekha ho kisi ne mujh ko, dikhlate hain hum

be-sabab ho kar KHafa jab kuchh sunata hai wo shoKH
ji hi ji mein apne upar hae jhunjhlate hain hum

sham ko saqi kabhi aata hai gar tera KHayal
subh tak bhi hosh mein apne nahin aate hain hum

hum ne gham kya KHak khaya gham ne hum ko kha liya
log ai hamdam samajhte hain ki gham khate hain hum

jam le kar mujh se wo kahta hai apne munh ko pher
ru-ba-ru yun tere mai pine se sharmate hain hum

jo kalam-e-ishq ye hargiz samajhta hi nahin
dil ko sau sau tarah 'ghamgin' hae samjhate hain hum


Leave a comment

+