huā karegā har ik lafz mushk-bār apnā
abhī sukūñ se kiye jaao intizār apnā
uThā liyā hai halaf garche jāñ-nisārī kā
mujhe sambhāl ki hotā huuñ baar baar apnā
udaas aañkh ko hai intizār fasl-e-murād
kabhī to mausam-e-jāñ hogā sāzgār apnā
tumhāre dar se uThā.e ga.e malāl nahīñ
vahāñ to chhoḌ ke aa.e haiñ ham ġhubār apnā
bahut buland huī jaatī hai anā kī fasīl
so ham bhī tañg kiye jaate haiñ hisār apnā
har ik charāġh ko hai dushmanī havā ke saath
bechārī le ke kahāñ jaa.e intishār apnā
hua karega har ek lafz mushk-bar apna
abhi sukun se kiye jao intizar apna
uTha liya hai halaf garche jaan-nisari ka
mujhe sambhaal ki hota hun bar bar apna
udas aankh ko hai intizar fasl-e-murad
kabhi to mausam-e-jaan hoga sazgar apna
tumhaare dar se uThae gae malal nahin
wahan to chhoD ke aae hain hum ghubar apna
bahut buland hui jati hai ana ki fasil
so hum bhi tang kiye jate hain hisar apna
har ek charagh ko hai dushmani hawa ke sath
bechaari le ke kahan jae intishaar apna
Leave a comment