kyā kare hāl-e-dil bayāñ koī
na rahā zeb-e-dāstāñ koī
phir hai qalb-o-nazar meñ yaksūī
kaash aa jaa.e nā-gahāñ koī
aañkh shabnam kī dekhtī hai kise
chāñdnī meñ huā javāñ koī
shahr se duur din kā phuul khilā
dasht meñ bhī hai gulistāñ koī
dil bhī hamrāz-e-ārzū niklā
ab nahīñ apnā rāz-dāñ koī
chhoḌ dukh-sukh kī manziloñ kā tavāf
dil miyāñ DhūñD āstāñ koī
duur apnoñ se ho rahe haiñ log
dekhiye kab mile kahāñ koī
kya kare haal-e-dil bayan koi
na raha zeb-e-dastan koi
phir hai qalb-o-nazar mein yaksui
kash aa jae na-gahan koi
aankh shabnam ki dekhti hai kise
chandni mein hua jawan koi
shahr se dur din ka phul khila
dasht mein bhi hai gulistan koi
dil bhi hamraaz-e-arzu nikla
ab nahin apna raaz-dan koi
chhoD dukh-sukh ki manzilon ka tawaf
dil miyan DhunD aastan koi
dur apnon se ho rahe hain log
dekhiye kab mile kahan koi
Source:
Leave a comment