Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghalib Ahmad

  • Ghazal


barha ho ke gae abr-e-bahaaran Khaali


bārhā ho ke ga.e abr-e-bahārāñ ḳhālī
dasht meñ phuul khile aur gulistāñ ḳhālī

ab to ḳhalvat-e-kada-e-ālam-e-imkāñ se nikal
ab yahāñ koī nahīñ ishq kā unvāñ ḳhālī

phir kisī jannat-e-gum-gashta ko dekhā us ne
jism phir chhoḌ chalā jism kā zindāñ ḳhālī

vādi-e-zīst meñ dil DhūñDhtā hai nuur kā rañg
chaar sū ghūrtī hai chashm-e-pareshāñ ḳhālī

ai sabā ab tū yahāñ koī nayā phuul khilā
ek muddat se hai dāmān-e-ġhazal-ḳhvāñ ḳhālī

barha ho ke gae abr-e-bahaaran KHali
dasht mein phul khile aur gulistan KHali

ab to KHalwat-e-kada-e-alam-e-imkan se nikal
ab yahan koi nahin ishq ka unwan KHali

phir kisi jannat-e-gum-gashta ko dekha us ne
jism phir chhoD chala jism ka zindan KHali

wadi-e-zist mein dil DhunDhta hai nur ka rang
chaar su ghurti hai chashm-e-pareshan KHali

ai saba ab tu yahan koi naya phul khila
ek muddat se hai daman-e-ghazal-KHwan KHali


Source:

Leave a comment

+