ye farq jiite hī jī tak gadā-o-shāh meñ hai
vagarna ba.ad-e-fanā musht-e-ḳhāk raah meñ hai
nishāñ maqām kā ġham aur na rahnumā koī
ġharaz ki saḳht aziyyat adam kī raah meñ hai
gadā ne chhoḌ ke duniyā ko naqd-e-dīñ paayā
bhalā ye lutf kahāñ shah ke izz-o-jāh meñ hai
pasand-tab.a nahīñ apnī chaar din kā milāp
mazā to ziist kā ai merī jaañ nibāh meñ hai
ye farq jite hi ji tak gada-o-shah mein hai
wagarna baad-e-fana musht-e-KHak rah mein hai
nishan maqam ka gham aur na rahnuma koi
gharaz ki saKHt aziyyat adam ki rah mein hai
gada ne chhoD ke duniya ko naqd-e-din paya
bhala ye lutf kahan shah ke izz-o-jah mein hai
pasand-taba nahin apni chaar din ka milap
maza to zist ka ai meri jaan nibah mein hai
Source: Book : 1857 Ke Inquilab Ka Aini Shahid George Puech Shor (Pg. 162) Author : Dr. Rahat Abrar Publication : Educational Publishing House (2010) Edition : 2010
Leave a comment