Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gawwas Qureshi

  • Ghazal


dil agar mail-e-itab na ho


dil agar mā.il-e-itāb na ho
dard kā dard phir javāb na ho

aisī karvaT bhī koī karvaT hai
jis ke pahlū meñ inqalāb na ho

kyuuñ chamak uTThā aaj mai-ḳhāna
tere sāġhar meñ āftāb na ho

bahr-e-hastī meñ nā-ḳhudā-e-jahāñ
zindagī sūrat-e-habāb na ho

dil se koshish kare agar insāñ
ġhair-mumkin hai kāmyāb na ho

kyuuñ pareshān rahtā hai 'ġhavvās'
terī taqdīr mahv-e-ḳhvāb na ho

dil agar mail-e-itab na ho
dard ka dard phir jawab na ho

aisi karwaT bhi koi karwaT hai
jis ke pahlu mein inqalab na ho

kyun chamak uTTha aaj mai-KHana
tere saghar mein aaftab na ho

bahr-e-hasti mein na-KHuda-e-jahan
zindagi surat-e-habab na ho

dil se koshish kare agar insan
ghair-mumkin hai kaamyab na ho

kyun pareshan rahta hai 'ghawwas'
teri taqdir mahw-e-KHwab na ho


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+