Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gautam Rajrishi

  • Ghazal


wo TukDa raat ka bikhra hua sa


vo TukḌā raat kā bikhrā huā sā
abhī tak din pe hai Thahrā huā sā

udāsī ek lamhe par girī thī
sadī kā bojh hai pasrā huā sā

idhar khiḌkī meñ thā māyūs chehra
udhar bhī chāñd hai utrā huā sā

kare hai shor yuuñ siine meñ ye dil
samūcha jism hai bahrā huā sā

ye kin nazroñ se mujh ko dekhte ho
rahūñ har dam sajā-sañvrā huā sā

sukhāne zulf vo aa.e haiñ chhat par
hai sūraj aaj phir sahrā huā sā

likhā us naam kā pahlā hī akhshar
mukammal page hai chehra huā sā

wo TukDa raat ka bikhra hua sa
abhi tak din pe hai Thahra hua sa

udasi ek lamhe par giri thi
sadi ka bojh hai pasra hua sa

idhar khiDki mein tha mayus chehra
udhar bhi chand hai utra hua sa

kare hai shor yun sine mein ye dil
samucha jism hai bahra hua sa

ye kin nazron se mujh ko dekhte ho
rahun har dam saja-sanwra hua sa

sukhane zulf wo aae hain chhat par
hai suraj aaj phir sahra hua sa

likha us nam ka pahla hi akhshar
mukammal page hai chehra hua sa


Leave a comment

+