Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasir Khan

  • Ghazal


bana hua tha kahin aab-dan kaghaz par


banā huā thā kahīñ āb-dān kāġhaz par
thī itnī pyaas ki rakh dī zabān kāġhaz par

kirāye-dār kī āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
banā.e baiThe the bachche makān kāġhaz par

tumhāre ḳhat meñ nazar aa.ī itnī ḳhāmoshī
ki mujh ko rakhne paḌe apne kaan kāġhaz par

tamām umr guzārī hai dhuup meñ shāyad
banā rahā hai koī sā.ebān kāġhaz par

uThā liyā hai qalam ab to maiñ ne bhī 'yāsir'
utaar Dālūñgā saarī thakān kāġhaz par

bana hua tha kahin aab-dan kaghaz par
thi itni pyas ki rakh di zaban kaghaz par

kiraye-dar ki aankhon mein aa gae aansu
banae baiThe the bachche makan kaghaz par

tumhaare KHat mein nazar aai itni KHamoshi
ki mujh ko rakhne paDe apne kan kaghaz par

tamam umr guzari hai dhup mein shayad
bana raha hai koi saeban kaghaz par

uTha liya hai qalam ab to main ne bhi 'yasir'
utar Dalunga sari thakan kaghaz par


Leave a comment

+