Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gauhar Seema

  • Ghazal


zist mein tarikiyan baDhti gain


ziist meñ tārīkiyāñ baḌhtī ga.iiñ
lamha lamha siskiyāñ baḌhtī ga.iiñ

be-zabān jab ho ga.ī ye zindagī
zehn meñ sargoshiyāñ baḌhtī ga.iiñ

ḳhvāhishoñ ke phuul murjhāne lage
phir mirī ye hichkiyāñ baḌhtī ga.iiñ

zaḳhm khā kar muskurāte hī rahe
dil kī ye ḳhāmoshiyāñ baḌhtī ga.iiñ

sochte hī sochte guzrā safar
ḳhvāb kī sarmastiyāñ baḌhtī ga.iiñ

zist mein tarikiyan baDhti gain
lamha lamha siskiyan baDhti gain

be-zaban jab ho gai ye zindagi
zehn mein sargoshiyan baDhti gain

KHwahishon ke phul murjhane lage
phir meri ye hichkiyan baDhti gain

zaKHm kha kar muskuraate hi rahe
dil ki ye KHamoshiyan baDhti gain

sochte hi sochte guzra safar
KHwab ki sarmastiyan baDhti gain


Leave a comment

+