Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gauhar Hoshiyarpuri

  • Ghazal


dukhi dilon mein, dukhi sathiyon mein rahte the


dukhī diloñ meñ, dukhī sāthiyoñ meñ rahte the
ye aur baat ki ham muskurā bhī lete the

vo ek shaḳhs burā.ī pe tul gayā to chalo
savāl ye hai ki ham bhī kahāñ farishte the

aur ab na aañkh na aañsū na dhaḌkaneñ dil meñ
tumhī kaho ki ye dariyā kabhī utarte the

judā.iyoñ kī ghaḌī naqsh naqsh boltī hai
vo barf-bār havā thii, vo daañt bajte the

ab in kī guuñj yahāñ tak sunā.ī detī hai
vo qahqahe jo tirī anjuman meñ lagte the

vo ek din ki mohabbat kā din kaheñ jis ko
ki aag thī na tapish bas sulagte jaate the

kahāñ vo zabt ke da.ave kahāñ ye ham 'gauhar'
ki TūTte the na phir TuuT kar bikharte the

dukhi dilon mein, dukhi sathiyon mein rahte the
ye aur baat ki hum muskura bhi lete the

wo ek shaKHs burai pe tul gaya to chalo
sawal ye hai ki hum bhi kahan farishte the

aur ab na aankh na aansu na dhaDkanen dil mein
tumhi kaho ki ye dariya kabhi utarte the

judaiyon ki ghaDi naqsh naqsh bolti hai
wo barf-bar hawa thi, wo dant bajte the

ab in ki gunj yahan tak sunai deti hai
wo qahqahe jo teri anjuman mein lagte the

wo ek din ki mohabbat ka din kahen jis ko
ki aag thi na tapish bas sulagte jate the

kahan wo zabt ke dawe kahan ye hum 'gauhar'
ki TuTte the na phir TuT kar bikharte the


Source: Book : Funoon (Monthly) (Pg. 290) Author : Ahmad Nadeem Qasmi Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23) Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23

Leave a comment

+