Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasir Khan

  • Ghazal


meri chiKHon se kamra bhar gaya tha


mirī chīḳhoñ se kamra bhar gayā thā
koī kal raat mujh meñ mar gayā thā

bahut mushkil hai us kā lauT aanā
vo puurī baat kab sun kar gayā thā

mujhe pahchāntā bhī hai koī ab
maiñ bas ye dekhne hī ghar gayā thā

zamāna jis ko dariyā kah rahā hai
hamārī aañkh se bah kar gayā thā

ka.ī sadiyoñ se sūkhā paḌ rahā hai
yahāñ ik shaḳhs pyāsā mar gayā thā

hamārā bojh thā sar par hamāre
tumhāre saath to naukar gayā thā

ye mat samjhā ḳhatā kis se huī thī
batā ilzām kis ke sar gayā thā

meri chiKHon se kamra bhar gaya tha
koi kal raat mujh mein mar gaya tha

bahut mushkil hai us ka lauT aana
wo puri baat kab sun kar gaya tha

mujhe pahchanta bhi hai koi ab
main bas ye dekhne hi ghar gaya tha

zamana jis ko dariya kah raha hai
hamari aankh se bah kar gaya tha

kai sadiyon se sukha paD raha hai
yahan ek shaKHs pyasa mar gaya tha

hamara bojh tha sar par hamare
tumhaare sath to naukar gaya tha

ye mat samjha KHata kis se hui thi
bata ilzam kis ke sar gaya tha


Leave a comment

+