Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gauhar Begum Gauhar

  • Ghazal


aaiye ai jaan-e-alam aaiye


aa.iye ai jān-e-ālam aa.iye
apne bande par karam farmā.iye

iid aa.ī aur gayā māh-e-siyām
chāñd sā muñh aap to dikhlā.iye

sāl-bhar guzrā umīd-e-vasl meñ
iid kā din hai gale lag jā.iye

ik ghaḌī bhī baiThnā dūbhar huā
dil ko samjhā leñge achchhā jā.iye

vasl kī kahtā huuñ jab 'gauhar' se maiñ
hañs ke kahte haiñ ki muñh banvā.iye

aaiye ai jaan-e-alam aaiye
apne bande par karam farmaiye

id aai aur gaya mah-e-siyam
chand sa munh aap to dikhlaiye

sal-bhar guzra umid-e-wasl mein
id ka din hai gale lag jaiye

ek ghaDi bhi baiThna dubhar hua
dil ko samjha lenge achchha jaiye

wasl ki kahta hun jab 'gauhar' se main
hans ke kahte hain ki munh banwaiye


Source: Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 204) Author : Khan Mohammad Atif Publication : Khan Mohammad Atif (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+