Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farhan Hanif Warsi

  • Ghazal


ye duniya daimi ghar hai nahin hai


ye duniyā dā.imī ghar hai nahīñ hai
phir is ke ba.ad mahshar hai nahīñ hai

nahīñ saaya sarāpā nuur ya.anī
tazabzub hai vo paikar hai nahīñ hai

basārat se zarūrī hai basīrat
nigāhoñ meñ jo manzar hai nahīñ hai

mirī gardish mire atrāf hī kyuuñ
mirā bhī koī mehvar hai nahīñ hai

har ik saa.e ke pīchhe bhāgte haiñ
kaho apnā bhī rahbar hai nahīñ hai

mirī qismat meñ sāhil hai yā tūfāñ
hathelī par samundar hai nahīñ hai

maiñ kab tak be-sar-o-sāmāñ rahūñgā
mirī taqdīr meñ ghar hai nahīñ hai

ye duniya daimi ghar hai nahin hai
phir is ke baad mahshar hai nahin hai

nahin saya sarapa nur yani
tazabzub hai wo paikar hai nahin hai

basarat se zaruri hai basirat
nigahon mein jo manzar hai nahin hai

meri gardish mere atraf hi kyun
mera bhi koi mehwar hai nahin hai

har ek sae ke pichhe bhagte hain
kaho apna bhi rahbar hai nahin hai

meri qismat mein sahil hai ya tufan
hatheli par samundar hai nahin hai

main kab tak be-sar-o-saman rahunga
meri taqdir mein ghar hai nahin hai


Leave a comment

+