Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farhan Hanif Warsi

  • Ghazal


apne bare mein soch lete hain


apne baare meñ soch lete haiñ
ya.anī ab ham bahut akele haiñ

ḳhauf aatā hai bhiiḌ se jab bhī
ghar kī vīrāniyoñ se Darte haiñ

mere maazī kī band muTThī meñ
terī yādoñ ke chand sikke haiñ

kyā kareñ har bashar kī āñkhoñ meñ
be-yaqīnī ke gahre saa.e haiñ

baat karte hue ye lagtā hai
ḳhvāb lafzoñ kī shakl umDe haiñ

apne bare mein soch lete hain
yani ab hum bahut akele hain

KHauf aata hai bhiD se jab bhi
ghar ki viraniyon se Darte hain

mere mazi ki band muTThi mein
teri yaadon ke chand sikke hain

kya karen har bashar ki aankhon mein
be-yaqini ke gahre sae hain

baat karte hue ye lagta hai
KHwab lafzon ki shakl umDe hain


Leave a comment

+