Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farhan Hanif Warsi

  • Ghazal


nafi hue the sab isbaat


nafi hue the sab isbāt
mere din mere hālāt

āmadanī kyā shai hai yaar
kyuuñ hote haiñ iḳhrājāt

ġham shahnā.ī gūñjte hī
aa.ī yādoñ kī bārāt

adnā sā ik mohara maiñ
jis ne dī thī shah ko maat

band mile jab ghar ke dar
āñgan meñ jā leTī raat

bikhrā bikhrā merā shauq
simTī simTī us kī zaat

is mausam tak aa.ī yaar
biitī rut kī ġham sauġhāt

dil se to niklī lekin
hoñToñ par aa Thahrī baat

tanhā sī mere kamre meñ
bhiig rahī hai ḳhud barsāt

chhoTī bahr ke sheroñ meñ
kahnā mushkil puurī baat

nafi hue the sab isbaat
mere din mere haalat

aamadani kya shai hai yar
kyun hote hain iKHrajat

gham shahnai gunjte hi
aai yaadon ki baraat

adna sa ek mohara main
jis ne di thi shah ko mat

band mile jab ghar ke dar
aangan mein ja leTi raat

bikhra bikhra mera shauq
simTi simTi us ki zat

is mausam tak aai yar
biti rut ki gham saughat

dil se to nikli lekin
honTon par aa Thahri baat

tanha si mere kamre mein
bhig rahi hai KHud barsat

chhoTi bahr ke sheron mein
kahna mushkil puri baat


Leave a comment

+