hamāre sāmne begāna-vār aao nahīñ
niyāz-e-ahl-e-mohabbat ko āzmāo nahīñ
hameñ bhī apnī tabāhī pe rañj hotā hai
hamāre hāl-e-pareshāñ pe muskurāo nahīñ
jo taar TuuT ga.e haiñ vo jaḌ nahīñ sakte
karam kī aas na do baat ko baḌhāo nahīñ
diye ḳhulūs-o-mohabbat ke bujhte jaate haiñ
garāñ na ho to hameñ is qadar satāo nahīñ
dil-o-nigāh ko kab tak koī bichhā.e rahe
ye dekh kar ki udhar se koī jhukāv nahīñ
ye aur baat hai kāñToñ meñ jī bahal jaa.e
nahīñ ki lāla-o-gul se mujhe lagāv nahīñ
hamare samne begana-war aao nahin
niyaz-e-ahl-e-mohabbat ko aazmao nahin
hamein bhi apni tabahi pe ranj hota hai
hamare haal-e-pareshan pe muskurao nahin
jo tar TuT gae hain wo jaD nahin sakte
karam ki aas na do baat ko baDhao nahin
diye KHulus-o-mohabbat ke bujhte jate hain
garan na ho to hamein is qadar satao nahin
dil-o-nigah ko kab tak koi bichhae rahe
ye dekh kar ki udhar se koi jhukaw nahin
ye aur baat hai kanTon mein ji bahal jae
nahin ki lala-o-gul se mujhe lagaw nahin
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment