Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fareed Javed

  • Ghazal


kya ho gaya kaisi rut palTi mera chain gaya meri nind gai


kyā ho gayā kaisī rut palTī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī
khultī hī nahīñ ab dil kī kalī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

maiñ laakh rahūñ yūñhī ḳhāk-basar shādāb raheñ tire shām-o-sahar
nahīñ us kā mujhe shikva bhī koī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

maiñ kab se huuñ aas lagā.e hue ik sham-e-umīd jalā.e hue
koī lamha sakūñ kā mile to sahī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

'jāved' kabhī maiñ shādāñ thā mire saath tarab kā tūfāñ thā
phir zindagī mujh se ruuTh ga.ī mirā chain gayā mirī niiñd ga.ī

kya ho gaya kaisi rut palTi mera chain gaya meri nind gai
khulti hi nahin ab dil ki kali mera chain gaya meri nind gai

main lakh rahun yunhi KHak-basar shadab rahen tere sham-o-sahar
nahin us ka mujhe shikwa bhi koi mera chain gaya meri nind gai

main kab se hun aas lagae hue ek sham-e-umid jalae hue
koi lamha sakun ka mile to sahi mera chain gaya meri nind gai

'jawed' kabhi main shadan tha mere sath tarab ka tufan tha
phir zindagi mujh se ruTh gai mera chain gaya meri nind gai


Source: Silsila Takallum Ka

Leave a comment

+