Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Shamim Hashimi

  • Ghazal


Sair-e-chaman karuN to wahaN bhi na jii lagay


Sair-e-chaman karu to waha bhi na ji lage
phooloN ki dilkashi me tumhari kami lagay

achchai ko burai samajhte rahe ho tum
meri har aik baat, na kaise buri lagay

jee chaahta hai mera ke dil khol kar haNsooN
lekin haNsooN to apni haNsi khokhlee lagay

begaana pan ka jab se tasallut hai zehn par
apnaa har aadmi bhi mujhay ajnabee lagay

chadar udaasiyoN ki har ik jism par milee
pahlaa sa Khushmizaaj na ab koi bhi lagay

ApnoN ki beruKhee se wo yaksar badal gaya
dekho Shamim ko to koi aur hi lagay

Leave a comment

+