Yaad ka nashtar jo tanhaayi nukeela kar gayi
Waqt ke sookhay huwe zaKhmoN ko geela kar gayi
Waqt paRnay par wafa teri jo heela kar gayi
Zindagi ka paich o Kham kuch aur dheela kar gayi
Dard ki bhatti me meri tishnaghi tapti rahi
Aanch ki shiddat badan ka rang neela kar gayi
Dil ke sahra me kisi ke yaad ke talway jalay
Aankh ki barish sulagti rait geela kar gayi
Unki aankhoN se bahot bachne ki koshish ki magar
Baat hi aisi thi jo chehre ko peela kar gayi
Yaad e maazi zehn ke sahra se yuN guzri Shamim
Fikr ke bikhray huwe zarroN ko teela kar gayi
Leave a comment