Jab zamaanay me kahiN zulm o sitam jaagta hai
Dhal ban kar meray aaQaa ka karam jaagta hai
faiz se aape Allah ka itna hai karam
Aaj bhi aapki ummat ka bharam jaagta hai
Apnay aanchal ki hawa deti hai jab neend mujhe
Aap ki mad-H saraayi me qadam jaagta hai
Kaasa e dil me liye naat e nabi ka tohfa
Raah e taiba ke musaafir a qadam jaagta hai
Bhejte hain jo shab o roz durood aur salaam
Unka dil jaagta hai deeda e nam jaagta hai
Aap ka faiz hai ye Gaar e hira par jisme
Baal e jibreel ka abtak cham o Kham jagta hai
Goonjtay rahte haiN har waqt durood aur salaam
Aap ki yaad me har lamha Haram jaagta hai
Sadqa e rahmat e aalam hai ke duniya me Shamim
Yorish e kufr me bhi baKht e umam jaagta hai
MatbooAh Jaam e Noor, Delhi, February 2006, MatbooAh Shayari Karachi, Shumara 40, April 2011
asdsfgvbnm
Leave a comment