Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Shamim Hashimi

  • Ghazal


Lazzat e Aish agarche mujhay maaluum nahiN


Lazzat e Aish agarche mujhay maaluum nahiN
Lazzat e dard e jigar se to mahroom nahiN

Aap ka sheva faqat meray gunaahoN ka shumaar
Main gunahgaar sahi aap bhi maasoom nahiN

Na sahi meri wafa ka kahiN charcha lekin
Aap ki deedah dilairi ki kahaaN dhoom nahiN

Haath malnay ke siwa aur na kuchh haath aaya
Waqt ki qadr jahaaN me jisay maloom nahiM

Raaz afhaa huwa jaata hai teri ujlat se
Dil e baitaab thahar itna abhi jhoom nahiN

Is taraf saikdoN talwaar idhar aik Shamim
fatH ka jashn kidhar hoga ye maaloom nahiN
 

MatbooAh: Toot-tay pattoN ka dukh

Leave a comment

+