Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Shamim Hashimi

  • Ghazal


Jo mere dil me hai milne ki aas rahne do


Jo mere dil me hai milne ki aas rahne do
Kisi ki deed ki aankhoN me pyaas rahne do

YaqeeN ki baat karo ab qayaas rahne do
Nazar me zoofishaaN sach ka libaas rahne do

Hamaaray baaG me sab phool phal tumharay haiN
Hamaaray waastay bas Khushk ghaas rahnay do

Nazar jhukaaye shajar haiN ke be libaas huwe
KhizaaN ki zid hai, unhay be libaas rahne do

Tumharay jism ki khushboo meri ghazal me rahay
Mujhe hawa ki tarah apne paas rahne do

Jo dard dil me chhupaaye huwe the barsoN se
Wo be libaas haiN ab be libaas rahne do

Shamim ham ko musarrat to hai Azeez magar
Ba zid hai dil ke tum usko udaas rahne do

MtbooAh Intesaab sironj, M.P, Shumara 61

Leave a comment

+