Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Farasat Rizwi

  • Ghazal


mizha pe ashk-e-alam jhilmilae aaKHir-e-shab


mizha pe ashk-e-alam jhilmilā.e āḳhir-e-shab
bichhaḌne vaale bahut yaad aa.e āḳhir-e-shab

vo jin ke qurb se Dhāras thī mere dil ko bahut
koī kahīñ se unheñ DhūñD laa.e āḳhir-e-shab

ye shor-e-bād-e-zamistāñ ye rāsta sunsān
Darā rahe hai daraḳhtoñ ke saa.e āḳhir-e-shab

havā meñ dard kī shiddat se zamzama-pairā
sunegā kaun ye merī sadā-e-āḳhir-e-shab

ravāna hone ko hai kārvāñ sitāroñ kā
phir us ke ba.ad kahāñ naqsh-e-pā-e-āḳhir-e-shab

kidhar chalī hai nigār-e-falak kise ma.alūm
ye tasht-e-māh-o-sitāra uThā.e āḳhir-e-shab

vo terī yaad ke mehmān ho ga.e ruḳhsat
ujaḌ ga.ī mire dil kī sarā.e āḳhir-e-shab

phir us ke ba.ad vahī dhuup hai mashaqqat kī
zarā sī der ko hai ḳhvābnā.e āḳhir-e-shab

nasīb ho saf-e-ā.indagāñ ko taaza sahar
mire laboñ pe yahī hai duā-e-āḳhir-e-shab

vo so ga.e haiñ jinheñ jāgne kī aadat thī
kise pukār rahī hai havā-e-āḳhir-e-shab

'farāsat' ab huī mahfil tamām ghar ko chalo
sarak rahī hai falak par ridā-e-āḳhir-e-shab

mizha pe ashk-e-alam jhilmilae aaKHir-e-shab
bichhaDne wale bahut yaad aae aaKHir-e-shab

wo jin ke qurb se Dhaaras thi mere dil ko bahut
koi kahin se unhen DhunD lae aaKHir-e-shab

ye shor-e-baad-e-zamistan ye rasta sunsan
Dara rahe hai daraKHton ke sae aaKHir-e-shab

hawa mein dard ki shiddat se zamzama-paira
sunega kaun ye meri sada-e-aKHir-e-shab

rawana hone ko hai karwan sitaron ka
phir us ke baad kahan naqsh-e-pa-e-aKHir-e-shab

kidhar chali hai nigar-e-falak kise malum
ye tasht-e-mah-o-sitara uThae aaKHir-e-shab

wo teri yaad ke mehman ho gae ruKHsat
ujaD gai mere dil ki sarae aaKHir-e-shab

phir us ke baad wahi dhup hai mashaqqat ki
zara si der ko hai KHwabnae aaKHir-e-shab

nasib ho saf-e-aindagan ko taza sahar
mere labon pe yahi hai dua-e-aKHir-e-shab

wo so gae hain jinhen jagne ki aadat thi
kise pukar rahi hai hawa-e-aKHir-e-shab

'farasat' ab hui mahfil tamam ghar ko chalo
sarak rahi hai falak par rida-e-aKHir-e-shab


Source: Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 109) Author : Firasat Rizvi Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007) Edition : 2007

Leave a comment

+