dukhoñ ke phuul to haiñ zaḳhm to hai daaġh to hai
harā-bharā mire siine meñ koī baaġh to hai
nahīñ hai vasl magar ḳhvāb-e-vasl bhī hai bahut
zarā sī der ġham-e-hijr se farāġh to hai
bahut ujāḌe sahī umr kī sarā.e magar
shikasta taaq meñ ik yaad kā charāġh to hai
maiñ tishnagī kā gilā kyā karūñ ki sūrat-e-dil
lahū kī mai se chhalaktā huā ayāġh to hai
tū kho gayā hai mire shahr-e-raftagāñ lekin
ye ek dard kī ḳhushbū tirā surāġh to hai
dukhon ke phul to hain zaKHm to hai dagh to hai
hara-bhara mere sine mein koi bagh to hai
nahin hai wasl magar KHwab-e-wasl bhi hai bahut
zara si der gham-e-hijr se faragh to hai
bahut ujaDe sahi umr ki sarae magar
shikasta taq mein ek yaad ka charagh to hai
main tishnagi ka gila kya karun ki surat-e-dil
lahu ki mai se chhalakta hua ayagh to hai
tu kho gaya hai mere shahr-e-raftagan lekin
ye ek dard ki KHushbu tera suragh to hai
Source: Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 204) Author : Firasat Rizvi Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007) Edition : 2007
Leave a comment