naqd-e-jāñ kī mire sauġhāt abhī baaqī hai
shab-e-hijrāñ kī mudārāt abhī baaqī hai
dhuup meñ tark-e-marāsim kī jhulasne vaale
āḳhirī shām-e-mulāqāt abhī baaqī hai
ḳhāliq-e-kaun-o-makāñ ham se nahīñ hai nārāz
gardish-e-arz-o-samāvāt abhī baaqī hai
vaqt kī dhuup meñ kho.e mire nashshe kitne
ik tirī chashm-e-ḳharābāt abhī baaqī hai
roz-e-avval se ajal khel rahī hai shatranj
mujh ko shah ho bhī chukī maat abhī baaqī hai
chāñdnī par hai tumheñ rañg-e-sahar kā dhokā
gul na kar denā diye raat abhī baaqī hai
har ġhazal kī mujhe takmīl pe mahsūs huā
dil meñ kahne ko koī baat abhī baaqī hai
naqd-e-jaan ki mere saughat abhi baqi hai
shab-e-hijran ki mudaraat abhi baqi hai
dhup mein tark-e-marasim ki jhulasne wale
aaKHiri sham-e-mulaqat abhi baqi hai
KHaliq-e-kaun-o-makan hum se nahin hai naraaz
gardish-e-arz-o-samawat abhi baqi hai
waqt ki dhup mein khoe mere nashshe kitne
ek teri chashm-e-KHarabaat abhi baqi hai
roz-e-awwal se ajal khel rahi hai shatranj
mujh ko shah ho bhi chuki mat abhi baqi hai
chandni par hai tumhein rang-e-sahar ka dhoka
gul na kar dena diye raat abhi baqi hai
har ghazal ki mujhe takmil pe mahsus hua
dil mein kahne ko koi baat abhi baqi hai
Source: Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 67) Author : Firasat Rizvi Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan (2007) Edition : 2007
Leave a comment